Window 7 me zip file kaise banate hai

How to Create a Zip File in hindi

Aaj iss post me mai apko btaunga Zip file kya hai, Zip File kyo banate hai or Window 7 me Zip File kaise banaye.

Zip File kya hai –

Files ko Zip file banane ka matlab hai bahut si files ko collect karke unki ek file banana jo zip file kahlati hai. Files ko zip karne ki suvidha Window, Mac or lagbhag sabhi operating systems me hoti hai. Zip files ka Extension normally .zip rahta hai.

Zip File kyo banate hai – 

Jo log Web designing, Template designing ya kisi dusre creative designing work karte hai vo zip files ki importance samjhte hai kyoki unhe bahut si files ko collect karke unki ek file banani hoti hai jisse koi bhi file miss na ho paye Lekin aisa nhi hai ki files ko zip karne ki jaroorat kewal Designers ko hi rahti hai, Normal work me bhi files ko zip file banakar rakhne se sari files ek jagah save ho jati hai or unhe search karna ashan ho jata hai.
Mai apko ek example deke samjhane ki koshih karta hu, aap jab bhi kahi travel ke liye jate hai to apne sare cloths(kapdo) ko kisi bag me rakhkar zip laga dete hai, jisse apke sare cloths ek hi jagah aa jate hai or unhe travel ke samay le jane me ashani hoti hai. ab apni files ko in cloths ki tarah dekhiye, maan lijiye apke cloths apki file hai to apko apni files ko zip karne se, files ko miss hone ka darr nhi rahta or saari files ek jagah hi save ho jati hai.
Iske alawa kabhi-kabhi kisi website me documents upload karne ke liye only .zip file ka hi option rahta hai tab ye method apke kaam aa sakta hai.

Window 7 me zip file kaise banaye –  

Aap sare Operating system me zip file ashani se bna sakte hai lekin sabhi operating system me zip file banane ka method thora different ho sakta hai. mai apko window 7 me zip file banane ki jankari de raha hu jo ki bahut ashaan hai or aap kuch hi steps me zip files ashani se bana sakte hai.
Aap jin bhi files ko zip karna cahate hai unhe Ctrl button press karke select kar lijiye ab Right click kijiye jaha apko “send to” ka option milega. Send to me mouse cursor le jane par apko or bhi option melienge apko inme se Compressed (zipped) folder ko click karna hai.
zip file kaise banate hai
Iss tarah apki .zip file ready ho jaegi or aap jab cahe iss file ko unzip kar sakte hai, iske liye zip file ko select kar usme right click karne ke baad apko Extract option me jana hai aap desire location me file ko Extract kar sakte hai.

6 thoughts on “Window 7 me zip file kaise banate hai”

  1. Thank you for sharing your info. I truly appreciate your efforts and
    I will be waiting for your next write ups thanks once again.

    Reply
  2. Interesting blog! Is your theme custom made or did you
    download it from somewhere? A theme like yours with a few simple adjustements would really
    make my blog jump out. Please let me know where you got your theme.
    Many thanks

    Reply

Leave a Comment